Sunday, August 2, 2015

Javani ke hile haya ke bahane – Prem Warbartoni



javani ke hile haya ke bahane
ye mana ke tum mujh se parda karogi
ye duniya magar tujh si bholi nahi hai
chupa ke mohabbat ko rusva karogi
badi koshishon se badi khvahishon se
tamanna ke sahami hui sazishon se
milega jo mauka to bechain hokar
darichon se tum mujhko dekha karogi
satayegi jab chandani ke udasi
dukhayegi dil jab fiza ke khamoshi
ufaq ke taraf khali nazaren jamakar
kabhi jo na socha wo socha karogi
kabhi dil ke dhadakan mahasus hogi
kabhi thandi sanson ke tufan uthegi
kabhi gir ke bistar pe aahen bharogi
kabhi jhuk ke takiye pe roya karogi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Prem Warbartoni



No comments:

Post a Comment