Sunday, August 16, 2015

Justaju jis ke thi us ko to na paya hum ne – Shahryar



justaju jis ke thi us ko to na paya hum ne
is bahane se magar dekh li duniya hum ne
tujh ko rusava na kiya khud bhi pasheman na huye
ishq ke rasm ko is tarah nibhaya hum ne
kab mili thi kahan bichadi thi hamen yaad nahi
zindagi tujh ko to bas khwab mein dekha hum ne
ae ‘ada’ aur sunaye bhi to kya hal apna
umr ka lamba safar tay kiya tanha hum ne
 


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Shahryar



No comments:

Post a Comment