Thursday, August 13, 2015

Chaak Daman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand

Eid-Poetry-Ghazal

Eid Poetry by Saghar Siddiqui

Chaak Daman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gaya Eid Ka Chand
Chaak = Rift; 
Is Ke Aabrooye Khameda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Mein Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Aabrooye = Eyebrows; Khameda = Curved; Teekha = Sharp
Door Wairaan Baseeray Mein Diya Ho Jese
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Weraan = Isolated; Baseeray = Nest;
Ley Key Halaat Ke Sehraon Mein Aa Jata Hai
Aaj Bhi Khald Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Sehraon = Deserts; Khald = Immortalize
Talkhiyan Barh Gayn Jab Zeest Key Pemaany Mein
Ghool Ke Dard Ke Maaron Ney Piya Eid Ka Chand
Talkhiyan  = Bitter; Pemaany = Scale;
Chasm To Wusat-E-Aflaak Mein Khoyi ‘Saghar’
Dil Ne Ik Aur Jaga Dhoond Liya Eid Ka Chand
Wusat = Expand; Aflaak = Heavens; Khoyi = Lost

No comments:

Post a Comment