Monday, January 19, 2015

Shikast day gia apna gharoor he uss ko



mein mar mita tu wo smjha yeh inteha hay mery
usay khabar he na thee , khak kimiya the mery


mein chup hua tu wo smjha kay bat khatam hoey
phir uss kay bat tu awaz ja bja the mery


jo taana zan tha mery poshash-e-dureeda par
usi kay dosh pay rakhi hoey quba the mery


mein uss ko yaad karon bhi tu yaad ata nahi
mein us ko bhol gia hon , yahi saza hay mery


shikas day gia apna gharoor he uss ko
wagarna uss kay muqabil bisaat kia the mery


kahin dimagh , kahin dill , kahin badan he badan
har ek say dosti yari juda juda thee mery


koi bhi koay muhabbat say phir nahi guzra
tu shehr-e-ishq mein kia akhri sada the mery ??


jo ab ghumad say sar ko uthaey phirta hay
usi tarha ki tu makhlooq khak-e-pa the mery


har ek sher na tha dar khor-e-qaseed-e-dost
aur iss say tab-e-rawaan khoob ashna the mery


mein uss ko dekhta rehta tha hairaton say FARAZ
yeh zindgy say tuaraf ki ibtada the mery



No comments:

Post a Comment