Ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
qafile mein subah ke ik shor hai
yani gafil hum chale sota hai kya
sabz hoti hi nahi ye sarzamin
tukhm-e-khvahish dil mein tu bota hai kya
ye nishan-e-ishq hain jate nahi
daag chati ke abas dhota hai kya
gairat-e-yusuf hai ye vaqt-e-aziz
‘meer’ is ko rayegan khota hai kya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer
No comments:
Post a Comment