hamako mita sake ye zamane mein dam nahi
hum se zamana khud hai zamane se hum nahi
befayada alam nahin, bekar gham nahi
taufiq de khuda to ye ne’amat bhi kam nahi
meri zuban pe shikava-e-ahl-e-sitam nahi
mujhko jaga diya yahi ehsaan kam nahi
ya rab! hujum-e-dard ko de aur vus’aten
daman to kya abhi meri aankhen bhi naam nahi
zahid kuch aur ho na ho maikhane mein magar
kya kam ye hai ki shikava-e-dair-o-haram nahi
shikwa to ek ched hai lekin haqiqatan
tera sitam bhi teri inayat se kam nahi
marg-e-jigar pe kyon teri aankhen hain ashk-rez
ik saniha sahi magar itni aham nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
No comments:
Post a Comment