Sunday, January 11, 2015

Sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main – Sir Mohammed Iqbal



Sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main
hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main
** gafil also means negligent/careless as used in the next sher**
hai meri zillat hi kuch meri sharafat ke dalil
jis ke gafalat ko malak rote hain wo gafil hun main
bazm-e-hasti apni aaraish pe tu nazan na ho
tu to ik tasvir hai mahafil ke aur mahafil hun main
dhundhata phirta hun ae “iqbal” apne aap ko
aap hi goya musafir aap hi manzil hun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sir Mohammed Iqbal



No comments:

Post a Comment