Barbad tamanna pe atab aur zyada
han meri mohabbat ka javab aur zyada
roye na abhi ahal-e-nazar hal pe mere
hona hai abhi mujh ko kharab aur zyada
aavara-va-majanun hi pe maukuf nahi kuch
milane hain abhi mujh ko khitab aur zyada
uthenge abhi aur bhi tufan mere dil se
dekhunga abhi ishq ke khwab aur zyada
tapakega lahu aur mere dida-e-tar se
dhadakega dil-e-khanakharab aur zyada
ae mutrib-e-bebak koi aur bhi nagma
ae saqi-e-fayyaz sharab aur zyada
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majaz Lucknawi
No comments:
Post a Comment