Monday, July 21, 2014

Tumhare shahar ka mausam bada suhana lage – Qaiser ul Jafri



Tumhare shahar ka mausam bada suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
tumhare bas mein agar ho to bhool jao hamen
tumhen bhulane mein shayad mujhe zamana lage
hamare pyar se jalne lagi hai ye duniya
dua karo kisi dushman ki baddua na lage
na jane kya hai us ke bebak aankhon mein
wo muh chupa ke jaye bhi to bevafa lage
jo dubana hai to itane sukun se dubo
ke aas pas ke laharon ko bhi pata na lage
ho jis ada se mere sath bevafai kar
ke tere bad mujhe koi bevafa na lage
wo phul jo mere daman se ho gaye mansub
khuda kare unhen bazar ke hawa na lage
tum aankh mund ke pi jao zindagi ‘qaiser’
ke ek ghunt mein shayad ye badmaza na lage


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qaiser ul Jafri



No comments:

Post a Comment