Tum ne tahariq mujhe di ki jao dekho
chand taron se pare aur duniyayen hain
tum ne hi mujh se kaha tha ki khabar le aao
mere dil mein waheen jane ke tamanayen hain
aur main chal diya gaur kiya kab is par
kitna mahadud hai insan ke quvvat ka tilism
bas yahi jee ko khayal aaya tumhen khush kar dun
ye na socha ki yun mit jayega rahat ka tilism
aur ab ham-dami-o-ishrat-e-rafta kaise
aah ab duri hai duri hai faqat duri hai
tum kaheen aur main kaheen ab nahi pahali halat
laut ke aa bhi nahi sakata ye hai majboori
meri qismat ki judai tumhen manzur hui
meri qismat ki pasand aayi na meri baten
ab nahi jalvagah-e-khilavat-e-shab afsane
ab to bas tira-o-tarik hai apni raten
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Miraji
No comments:
Post a Comment