Thursday, July 10, 2014

Tareef shayari in hindi



Pakar tumhe sapne sach lagne lage
ajnabi se the jo kabhi aaj apne lagne lage
hota nahin yakin khud ki kismat par
dhadkane hote bhi woh jaan lagne lage…
`
Taras gaye apke deedar ko
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai
jo har roz apke husn ka deedar karta hai…
`
Saja kar apni hi aankh hazaar chehron pe
kiya hai maine sada aitbaar chehron pe
main teri bazm me kis – kis se dushmani leta
likha tha naam tera be-shumaar chehron pe…
`
Thi woh koi ladki ya thi woh koi bala
dil uski khoobsoorti mein toh hai bas dhala
kuch lamho ke deedar ke aage na ye dil chala
jaise hua koi jadoo ya dikhayi kisi ne kala…
`
Apke aane se khil gaya hai aangan
aapke saath se jhoom untha hai gagan
aap ho isiliye khush hai sara chaman
aur aapse pyar karne ko hum lenge hazaron janam…
Aapki hasi pe chhidakte hain hum jaan
Aapki khushi pe toh hai sab kuch kurbaan
Aapke bin toh ye jahan lage veeran
Kyuki aap toh hai jaise is dil ka gulistaan
`
Teri lehrati julfe na jane kya kehti hai
teri jhuki nazro ko dekhkar log kya kehte hai
humne suni hai aapki taarif apne kaano se
log to aapko Taj Mahal kehte hai
`
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna,
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.
`
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
humare zakhmo ki dava bhi woh hai
woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
Muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai
`
UNKI ANKHO SE KASH KOI ISHARA TO HOTA
KUCH MERE JEENE KA SAHARA TO HOTA
TOD DETE HUM HAR RASM ZAMANE KI
EK BAAR HI SAHI USNE PUKARA TO HOTA
`
Phoolon mein hoti hai wo khushbu
jo man ko bhaa jaati hai
jo is man ko chhute hi
ek madhur geet ban jaati hai
vibhinnataa hoti hai rango mein inke
jinki man mein tasveer ban jaati hai
in phoolon mein hoti hai
`
Aapke deedar ko nikal aaye hai taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare
Ki chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare…



Share with us more Tareef shayari in hindi .in comments section below.



No comments:

Post a Comment