Tere bare mein jab socha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha
teri tasvir se karta tha baten
mere kamare mein aaina nahi tha
samandar ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra mein tha pyasa nahi tha
manane-ruthane ke khel mein hum
bichad jayenge ye socha nahi tha
suna hai band kar li us ne aankhen
kai raton se wo soya nahi tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meraj Faizabadi
No comments:
Post a Comment