Tuesday, July 15, 2014

Aj ke din na pucho mere dosto – Faiz Ahmed Faiz



Aj ke din na pucho mere dosto
dur kitne hain khushiyan manane ke din
khul ke hansane ke din geet gane ke din
pyar karne ke din dil lagane ke din
aj ke din na pucho mere dosto
zakhm kitne abhi bakht-e-bismil mein hain
dasht kitne abhi rah-e-manzil mein hain
tir kitne abhi dast-e-qatil mein hain
aj ke din zubun hai mere dosto
aj ke din to yun hai mere dosto
jaise dard-o-alam ke purane nishan
sab chale su-e-dil karavan karavan
hath sine pe rakho to har ustakhvan
se uthe nala-e-al’aman al’aman
aj ke din na pucho mere dosto
kab tumhare lahu ke darida alam
farq-e-khurshid-e-mahashar pe honge raqam
az karan ta karan kab tumhare qadam
leke uthega wo bahar-e-khun yam-ba-yam
jis dil mein dhul jayega aj ke din ka gham
sare dard-o-alam sare jaur-e-sitam
dur kitni hai khurshid-e-mahashar ke lau
aj ke din na pucho mere dosto


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment