Friday, April 18, 2014

Phir wohi mange hue lamhe, phir wohi jam-e-sharab – Akhtar ul Iman



Phir wohi mange hue lamhe, phir wohi jam-e-sharab
phir wohi tarik raton mein khayal-e-mahtab
phir wohi taron ke peshani pe rang-e-lazaval
phir wohi bhuli hui baton ka dhundhala sa khayal
phir wo aankhen bhigi bhigi daman-e-shab mein udas
phir wo ummidon ke madafan zindagi ke aas-pas
phir wohi farda ke baten phir wohi mithe sarab
phir wohi bedar aankhen phir wohi bedar khwab
phir wohi varaftagi tanhai afasanon ka khel
phir wohi rukhsar wo aagosh wo zulf-e-siyah
phir wohi shahar-e-tamanna phir wohi tarik reh
zindagi ke bebasi uff waqt ke tarik jal
dard bhi chinane laga umeed bhi chinane lagi
mujh se meri aarazu-e-did bhi chinane lagi
phir wohi tarik mazi phir wohi bekaif hal
phir wohi besoz lamhen phir wohi jam-e-sharab
phir wohi tarik raton mein khayal-e-mahtab


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman



No comments:

Post a Comment