Kabhi shakh-o-sabz-o-barg par kabhi guncha-o-gul-o-khar par
main chaman mein chahe jahan rahun mera haq hai fasal-e-bahar par
mujhe de na gaib mein dhamakiyan gire lakh bar ye bijaliyan
meri sar-tanak yahi aashiyan meri milkiyat yahi pyar hai
meri simt se use ae saba ye payam-e-akhir-e-gam suna
abhi dekhana ho to dekh ja ke khizan hai apni bahar pe
ye fareb-e-jalva-e-sar-basar mujhe dar hai ye dil-e-bekhabar
kaheen jam na jaye teri nazar inhin chand naqsh-o-nigar par
ajab inqalab-e-zamana hai mera mukhtasar sa fasana hai
ye jo aj bar hai dosh par yahi sar tha zano-e-yar par
main rahin-e-dard sahi magar mujhe aur kya chahiye “jigar”
gam-e-yar hai mera shefata main farefata gam-e-yar par
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
No comments:
Post a Comment