hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
mere nagmat ko andaz-e-nava yaad nahi
main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sahil hun jise koi sada yaad nahi
main ne jin ke liye rahon mein bichaya tha lahu
hum se kahate hain wohi ahad-e-vafa yaad nahi
kaise bhar aain sar-e-sham kisi ke aankhen
kaise tharrae charagon ke ziya yaad nahi
sirf dhundhalai sitaron ke chamak dekhi hai
kab hua kon hua kis se khafa yaad nahi
zindagi jabr-e-musalasal ke tarah katati hai
jane kis jurm ke pai hai saza yaad nahi
aao ik sajda karen aalam-e-madhahoshi mein
kahate hain ke “sagar” ko khuda yaad nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui
Friday, April 18, 2014
Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi – Sagar Siddiqui
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment