Meri Ankon Ke Samandar Men Jalan Kaisi Hai
Phir Dilko Tarpne Ki Lagan Kesi Hai
Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kesi Hai
Meri Ankhon Ke Samandar Mein Jalan Kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi Hai
Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai
Baraf Ke Roop Mein Dhal Jayeinge Saare Rishtey
Mujh Se Poochho Muhabbat Ki Agan Kaisi Hai
Mein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doongi
Mausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai
Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai
Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai
Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai
No comments:
Post a Comment