Tuesday, April 29, 2014

Gam-e-hayat ka jagada mita raha hai koi



gam-e-hayat ka jagada mita raha hai koi
chale bhi aao ki duniya se ja raha hai koi


kaho ajal se zara do ghadi thahar jaye
suna hai aane ka wada nibha raha hai koi


wo aj lipate hain kis nazuki se lashe ko
ki jaise ruthon huon ko mana raha hai koi


kaheen palat ki na aa jaye sans nabzon mein
hasin hathon se mayyat saja raha hai koi


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Sardar Anjum



No comments:

Post a Comment