Friday, April 22, 2011

yeh dil kuch

Wo jazbo ki tijaarat thi,yeh dil kuch aur samjha tha..
usay hansney ki aadat thi,yeh dil kuch aur samjha tha..
mujhe usne kaha aao naiee dunya basatay hain,
usay sujhi shrarat thi , yeh dil kuch aur samjha tha..
hamesha us ki ankhoo mein dhanak se rang hotay hain,
yeh us ki aam halat thee,yeh dil kuch aur samjha tha
woh meray pass baithay dair tak, ghazlain meri sunta.
usay khud say muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha……
yeh dil kuch,,,,,,,,,,,,,,,,,,


From: NADEEM

No comments:

Post a Comment