Friday, April 15, 2011

Har ek jalva-e-rangin meri nigah mein hai – Akhtar Shirani



har ek jalva-e-rangin meri nigah mein hai
gam-e-firaq ke duniya dil-e-tabah mein hai
kisi ke yad-e-karam uf are ma’azALLAH
tabah hoke bhi zalim dil-e-tabah mein hai
hazar pardon mein o chupanevale ye sun le
tera jamal mere daman-e-nigah mein hai
jahan mein mujhe bhi nakam-e-arazu kam hai
na rang aah mein hai aur na soz aah mein hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar Shirani




No comments:

Post a Comment