Wednesday, April 13, 2011

ham HUSAINI hain HUSAINI mizaz rakhte hain….

Hussani ShayariNa pooch merahussain(as) kya hai ?Jahan-e-azme wafa ka paikar,Khrad ka markaz, junoon ka mehwar,Jamal-e-zehra (as), jamal-e-haider (as),Zameer-e-inssan, naseer-e-daawar,Zameen ka dil, asmaan ka yaavar,Dayar-e-sabro reza ka dilbar,Kamal-e-eessar ka payambar,Shaoor-e-aman –o-sukoon ka paykar,Jabeen-e-insaaniyat ka jhoomar,Arab ka sehra, ajam ka zewar,Hussain(as) tasweer-e-ambiya hai,Na pooch merahussain(as) kya hai?Hussain(as) ahl-e-wafa ki bastee,Hussain(as) aayeen-e-haq parsatee,Hussain(as) sidq-o-safa ka saathee,Hussain(as) chashme ana kee mastee,Hussain(as) pesh-az- adam tasawoor,Hussain(as) baad az qayam-e-hastee,Hussain(as) ne zindagee bikheree,Faza se warna qaza barastee,Urooj-e-haft, aasmaan-e- azmat,Hussain(as) kenaqsh-e-pa ki masti,Hussain(as) ko khuld me na dhoondo,Hussain(as) mehnga, hai khuld sastee,Hussain(as) maqsoom-e-deen–o-imaan,Hussain(as) mafhoom-e- “hal ata” hai,Na pooch merahussain(as) kya hai?Hussain(as) dil hai,hussain(as) jaan hai,Hussain(as)quraan kee zaban hai,Hussain(as) irfaan keesaltanathai,Hussain(as) sarkaar –e-do jahan hai,Hussain(as) sajdon kee sar zameen hai,Hussain(as) zahnon ka asmaan hai,Hussain(as) zakhmo bhareejabeenhai ..

No comments:

Post a Comment