Friday, April 22, 2011

Dekha hua sa kuch hai to socha hua sa kuch – Nida Fazli



Dekha hua sa kuch hai to socha hua sa kuch
har waqt mere sath hai ulajha hua sa kuch
hota hai yun bhi rasta khulata nahi kaheen
jangal-sa phail jata hai khoya hua sa kuch
sahil ki gili ret par bachon ki khel-sa
har lamha mujh mein banata bikharata hua sa kuch
fursat ne aj ghar ko sajaya kuch is tarah
har shay se muskurata hai rota hua sa kuch
dhundhali si ek yaad kisi qabr ka diya
aur mere aas-pas chamkata hua sa kuch




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli



No comments:

Post a Comment