Wednesday, April 6, 2011

Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali



Mere Lab Par To Rehta Hai Subho Masaa
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Banda Parvar Yahi Hai Wazeefa Mera
Ya Ali…


Kaam Aaya Hai Sabke Ajal Se Yahi
Aur Abad Tak Yahi Sabke Kaam Aayega
Hai Yahi Ibteda Aur Yahi Inteha
Ya Ali…


Aap Maanein Na Maanein Haqeeqat Hai Ye
Khud Asal Peshwaai Ko Aajaega
Dekhiye Kehke Is Baar Baadad Doa
Ya Ali…


Meri Baali Pe Jab Aaya Maula Mera
Na Zaki Mushkilein Kitni Aasaan Huin
Sar Ko Rakhkar Qadam Par Jo Maine Kaha
Ya Ali…


Wo Ohad Ho Ke Siffeen Ya Badr Ho
Abwo Khandaq Ho Khaibar Ho Ya Nahrwaan
Hai Ye Har Ek Maidaan Se Aati Sada
Ya Ali…


Hai Zamaana Mukhaalif To Hota Hai Kya
Mujhko Mutlaq Zamaane Ki Parwah Nahin
Saans Jab Tak Hai Baaqi Kahey Jaoonga
Ya Ali…


Baab-E-Janaat Pe Jis Waqt Dekha Mujhe
Raasta De Diya Hatke Rizwan Ne
Aapki Madha Ka Ye Mila Hai Sila
Ya Ali…


Meri Haalat Pe Bhi Rehm Farmaaiye
Mujhko Bhi Apne Rauze Pe Bulwaaiye
Mere Mushkil Kusha Mere Haajat Rawa
Ya Ali…


Vird Karne Laga Main Jo Naad-E-Ali
Bhool Baithe Farishte Jo Tha Poochhna
Wo Bhi Kehne Lage Main Bhi Kehne Laga
Ya Ali…


Jab Ye Poochha Gaya Iska Matlab Hai Kya
Kul Kafa Hal Ataa Innama La Fatah
Muskura Kar Ye Jawaaban Ye Maine Kaha
Ya Ali…


Aap Kya Hain Haqeeqat Hai Kya Aapki
Khud Masheeyat Ka Bhi Hai Ishaara Yahi
Mustafa Ko Bhi Mushkil Mein Bhi Kehna Parha
Ya Ali…


Aake Meri Lahad Mein Farishte Saeed
Kya Khabar Mujhse Kya Kar Rahey Thhey Sawal
Aadatan Main Jawaaban Ye Kehta Raha
Ya Ali…



No comments:

Post a Comment