Tuesday, July 1, 2008

vaqt-e-safar qarib hai bistar samet lun – Ajmal Ajmali



vaqt-e-safar qarib hai bistar samet lun
bikhara hua hayat ka daftar samet lun
phir jane hum milen na milen ik zara ruko
main dil ke aaine mein ye manzar samet lun
gairon ne jo suluk kiye un ka kya gila
phenke hain doston ne jo pathar samet lun
kal jane kaise honge kahan honge ghar ke log
aankhon mein ek bar bhara ghar samet lun
sail-e-nazar bhi gham ke tamazat se khushk ho
wo pyas hai mile to samandar samet lun
‘ajmal’ bhadak rahi hai zamane mein jitani aag
jee chahata hai sine ke andar samet lun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ajmal Ajmali



No comments:

Post a Comment