Tuesday, July 8, 2008

Kamar bandhe huye chalne pe yan sab yar baithe hain – Insha Allah Khan Insha



Kamar bandhe huye chalne pe yan sab yar baithe hain
bahut aage gaye, baqi jo hain tayyar baithe hain
na ched ae nikahat bad-e-bahari, reh lag apni
tujhe athakheliyan sujhi hain, hum bezar baithe hain
khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kaheen saqi
garaz kuch aur dhun mein is ghadi maikhvar baithe hain
basane naqsh-e-pa-e-raharavan ku-e-tamanna mein
nahi uthane ke taqat kya karen lachar baithe hain


kahen hain sabr kis ko aah nang-o-nam hai kya shai
garaz ro pitakar in sab ko hum yakabar baithe hain


kaheen bose ke mat jurrat dila! kar baithiyo un se
abhi is had ko wo kaifi nahi hoshiyar baithe hain


najibon ka ajab kuch hal hai is daur mein yaron
jise pucho yahi kahate hain hum bekar baithe hain
nai yah vaza sharmane ke sikhi aj hai tum ne
hamare pas sahab warna yun sau bar baithe hain


kahan gardish falak ke chain deti hai suna ‘insha’
ganimat hai ki ham-surat yahan do char baithe hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Insha Allah Khan Insha



No comments:

Post a Comment