Thursday, July 31, 2008

Wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe – Hashim Raza



Wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe
hum un ka intakhab-e-nazar dekhte rahe
daman bachake ashkon se wo to nikal gaye
hum der tak zamin par guhar dekhte rahe
hum beniyaz baithe huye un ke bazm mein
auron ke bandagi ka asar dekhte rahe
aayi sahar to aur bada bijaliyon ka zor
shab bhar hum intezar-e-sahar dekhte rahe
sholon ke zad par sabhi the, kis ko pukarate
har simt khirmanon mein sharar dekhte rahe
kyonkar sanbhalate hamen wo nakhuda jo khud
sahil ke aafiyat se bhanvar dekhte rahe
manzil ke dhun mein aabalapa chal khade huye
aur shah-savar gard-e-safar dekhte rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hashim Raza



No comments:

Post a Comment