Saturday, July 19, 2008

Faraz Poetry – Dard Ka Tajir

Kabhi Aansoo Chupa Chupa K Roye,
Kabhi Dastan-e-Gham Suna Suna K Roye,


Raat Katti Hai Intazar-e-Yaar Mein,
Hum Raat Bhar Taron Ko Jaga Jaga K Roye,


Phir Wo Na Aye Raat Ka Wada Kar K,
Hum Tamam Raat Shama Jala Jala K Roye,


Aaj Raat Unke Aane Ki Ummeed Thi Humain,
Wo Na Aye Hum Ghar Ko Saja Saja K Roye,


Suna Hai Wasi Dua Se Hoti Hai Murad Pori,
Hum To Saari Raat Haath Utha Utha K Roye.


Najane Kia Hoga Na Mil Sake Agar Tum,
Saans To Chale Gi Par Zinda Na Hon Ge Hum,


Dil Mein Gilay To Hon Ge Bohat,
Magar Khamosh Rahen Ge Phir Bhi Hum,


Na Chaha Tha Na Chahen Ge Kisi Ko Itna,
Ji Liya Shayad Bas Jeena Tha Jitna,


Bas Phir Khuda Se Ek Dua Karen Ge Hum,
Tum Hamain Bhool Jao Aur Zindagi Ko Hum,


Meri Bhi Saari Khushiya Milen Tujhe,
Tere Gham Bhi Cheen Len Ge Hum,


Agar Aisa Ho Jaye To,
Haar K Bhi Jeet Jain Ge Hum.


Missing u jaan ….

No comments:

Post a Comment