Friday, July 11, 2008

Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi - Mohsin Naqvi


Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi
Pyasey Hont thy Aankh Samundar Jaysi thi

Sooraj Usko Daikh Ker Peela Perta Tha
Woh Sarma ki Dhoop mein Dhul Ker Nikli Thi

Usko Apny SaaYe Se Dar Lagta tha
Sooch K Sehra mein Woh Tanha Heerni thi

Aaty Jaaty Mausam Usko Dasty Thy
Hansti Hansti Palkoon se Ro Perti thi

Aadhi Raat Ganwa deti Thi Chup Reh Ker
Aadhi Raat K Chaand se Baatein Kerti Thi

Door Se Ujray Mandir Jaysa Ghar Uska
Woh ApnY Ghar mein Ikloti Devi thi

Moum Se Nazuk Jism Seher Ko Dukhta Tha
Diye Jala Ker Shab bhar Aap Pighalti thi

Taiz Hawa Ko Rok Ker Apny Aanchal Per
SookhY Phool Ikhaty Kerti Phirti Thi

Sub per Zahir ker deti thi Bhaid Apna
Sub Se Ik Tasveer Chupaye Rakhti thi

Kal Shab Chakna Chor Hua tha Dil Uska
Ya Phir Pehli Baar Woh Khul Ker Royi Thi

Moshin Kya Jaany Kion Dhoop se be'Parwah
Woh Apny Ghar Ki Dehleez Per Bethi Thi...???

By: Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment