Thursday, July 17, 2008

Kachi divar hun thokar na lagana mujh ko – Israr Ansari



Kachi divar hun thokar na lagana mujh ko
apni nazron mein basa kar na girna mujh ko
tum ko aankhon mein tasavvur ke tarah rakhta hun
dil mein dhadakan ke tarah tum bhi basana mujh ko
baat karne mein jo mushkil ho tumhen mahafil mein
main samajh jaunga nazron se batana mujh ko
wada utana hi karo jitana nibha sakate ho
khwab pura jo na ho wo na dikhana mujh ko
apne rishte ke nazakat ka bharam rakh lena
main to aashiq hun divana na banana mujh ko



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Israr Ansari



No comments:

Post a Comment