us mod se shuru karen phir ye zindagi
har shay jahan hasin thi, hum tum the ajanabi
lekar chale the hum jinhen jannat ke khwab the
phoolon ke khwab the wo muhabbat ke khwab the
lekin kahan hai un mein wo pahali si dilakashi
rehte the hum hasin khayalon ke bheed mein
ulajhe hue hain aj sawalon ke bheed mein
aane lagi hai yaad wo fursat ke har ghadi
shayad ye waqt hum se koi chal chal gaya
rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya
ashkon ke chandani se thi bahatar wo dhup hi
Poet of the Poems / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir
No comments:
Post a Comment