Tuesday, April 29, 2008

Umar Kat Rehi

Umar kat rehi hai judai ke ghum mein
magar ankhon ko karta nahien num mein


na jane kab ashaar ki aamad ho jaye
sda jaib mein rakhta hoon qalam mein


zindgi ki uljano mein ulajh ke raeh gya
wagarna tum se aa kar milta sanam mein


duniya mein char din ka mehman hoon
tera pyar yaad rakhon ga hamdam mein


Asghr duniya se guzar jaye bhi to kya
kabi na bhoolon ga tere karam mein

No comments:

Post a Comment