Wednesday, April 23, 2008

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa-Ahmed Faraz



ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jane ke liye aa
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa
kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
kuch to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
ek umr se hun lazzat-e-giriya se bhi maharum
ae rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa
ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiden
ye aakhiri shammen bhi bujhane ke liye aa
mana ki muhabbat ka chipana hai muhabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye aa


               Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment