Friday, April 11, 2008

Chashm-e-mayagun zara idhar kar de



chashm-e-mayagun zara idhar kar de
dast-e-kudarat ko be-asar kar de


tez hai aj dard-e-dil saqi
talkhi-e-may ko tez-tar kar de


josh-e-vahashat hai tishnakam abhi
chak-e-daman ko tazagar kar de


meri qismat se khelane wale
mujh ko qismat se bekhabar kar de


lut rahi hai meri mata-e-niyaz
kash! wo is taraf nazar kar de


‘faiz’ takmil-e-arazu malum
ho sake to yun hi basar kar de


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment