Tuesday, April 8, 2008

Dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya – Meer Taqi Meer



Dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya
jhankana takana kabhu na gaya
har qadam par thi us ke manzil lek
sar se sauda-e-justaju na gaya
sab gaye hosh-o-sabr-o-tab-o-tavan
lekin ae daag dil se tu na gaya
hum khuda ke kabhi qayal to na the
un ko dekha to khuda yaad aa gaya
dil mein kitne masaude the wale
ek pesh us ke ru-ba-ru na gaya
subah gardan hi ‘meer’ hum to rahe
dast-e-kotah ta sabu na gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



No comments:

Post a Comment