Tuesday, April 29, 2008

Fasala to hai magar koi fasala nahi



fasala to hai magar koi fasala nahi
mujhase tum juda sahi dil se to juda nahi
aasman ka fikr kya aasman khafa sahi
aap ye bataiye aap to khafa nahi
kashtiyan nahi to kya hausale to pas hain
kah do nakhudaon se, tum koi khuda nahi
lijiye bula liya aap ko khayalon mein
ab to dekhiye hamen koi dekhata nahi
aaiye chirag-e-dil aj hi jalayen hum
kaisi kal hawa chale koi janata nahi


Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Shamim Karhani



No comments:

Post a Comment