Thursday, April 3, 2008

Tere khayal se lau de uthi hai tanhai – Nasir Kazmi



Tere khayal se lau de uthi hai tanhai
shab-e-firaq hai ya teri jalvaarai
tu kis khayal mein hai ae manzilon ke shadai
unhen bhi dekh jinhen raste mein neend aayi
pukar ae jaras-e-karavan-e-subah-e-tarab
bhatak rahe hain andheron mein tere saudai
rah-e-hayat mein kuch marhale to dekh liye
ye aur baat teri aarzoo na ras aayi
ye saniha bhi muhabbat mein barha guzra
ki us ne hal bhi pucha to aankh bhar aayi
phir us ke yaad mein dil beqarar hai ‘nasir’
bichad ke jis se hui shahar shahar rusavai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment