Tuesday, March 4, 2008

Urdu rangeen shayari



Kai Din Se Naya Koi Aalam Nahi Hai
Aisi Rangeen Meri Koi Shaam Nahi Hai


Kar De Jo Gafil Khud Se Aaye Saqi
Aisi To Koi Mein Nahi Koi Jaam Nahi Hai


Sitam Har Hum Ko Gawara Magar Aye Dost
Honto Pe Humare Ab Tera Naam Nahi Hai


Jalwe Na Rahe Woh Tere Aaye Shahid-e-Raana
Tu Aab Magar Pahli Se Gulfam Nahi Hai


Hai Subah Mein Jhalakta Hai Meri Sham Ka Manzar
Aur Sham To Aise Hai Ki Bas Shaam Nahi Hai


Aankhein Hai Sharabi Aur Honth Gulabi
Is Jaam Ke Aage To Koi Jaam Nahi Hai


Ab Hum Mein Hai Sab Baqi Marar Saad Haif
Islam Nahi Hai Faqat Islam Nahi Hai


Ho Ishq Jise Phir Kya Ghum Ho Usse
Is Dard Ke Aage To Koi Aalam Nahi Hai


Nafees Ab Bhi Tumhe Bhoola Nahi Hai
Hontho Pe Bas Aab Tera Naam Nahi Hai


Share with us more Urdu rangeen shayari in Comments Section below.



No comments:

Post a Comment