Sunday, March 16, 2008

Ye bhi kya sham-e-mulaqat aayi – Nasir Kazmi



Ye bhi kya sham-e-mulaqat aayi
lab pe mushkil se teri baat aayi
subah se chup hain tere hijr nasib
haye kya hoga agar raat aayi
bastiyan chod ke barase badal
kis qayamat ke ye barsat aayi
koi jab mil ke hua tha rukhsat
dil-e-betab wohi raat aayi
saya-e-zulf-e-butan mein ‘nasir’
ek se ek nai raat aayi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment