Monday, March 10, 2008

Khud dil mein reh ke aankh se parda kare koi – Majaz Lucknawi



Khud dil mein reh ke aankh se parda kare koi
han lutf jab hai pake bhi dhundha kare koi
tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi
duniya laraz gai dil-e-hiramannasib ke
is tarah saz-e-aish na cheda kare koi


mujh ko ye aarzoo wo uthayen naqab khud
un ko ye intazar taqaza kare koi
rangini-e-naqab mein gum ho gai nazar
kya be-hijabiyon ka taqaza kare koi
ya to kisi ko jurrat-e-didar hi na ho
ya phir meri nigah se dekha kare koi
hoti hai is mein husn ke tauhin ae ‘majaz’
itna na ahal-e-ishq ko rusava kare koi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majaz Lucknawi



No comments:

Post a Comment