Wednesday, March 12, 2008

Gulshan mein bahar aayi mere dil ka chaman viran



gulshan mein bahar aayi mere dil ka chaman viran
har shakh hai muskai mere dil ka chaman viran
kaliyon ne bhi khil-khil ke rituon ko sada di hai
patton ne bhi hil-hil ke shakhon ko hawa di hai
mausam pe bahar aayi mere dil ka chaman viran
gunchon se lipatati hai masti bhari purvai
har-su hai nasha chalaka mad-mast ghata chai
phoolon ne li angadai mere dil ka chaman viran
taron-si chamakati hain barakha ke hasin bunden
dulhan-si larazati hain badali mein chipi laharen
bhanvaon ne gazal gai mere dil ka chaman viran


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Kumar Aansoo



No comments:

Post a Comment