Tuesday, March 18, 2008

Ik intazar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi – Mahashar Badayuni



Ik intazar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
safar mein marane ke fursat thi ghar mein wo bhi nahi
zara malal ke zulmat ko talane ke liye
kai khayal the ab to asar mein wo bhi nahi
jo sang-o-khar the meri hi gardishon tak the
main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi
the chashm-e-bam nagar mein ajab tulu ke rang
wo ik nishat-e-sahar tha sahar mein wo bhi nahi
rahe na kuch bhi magar ye kaif kya kam hai
jis aagahi ke kami thi hunar mein wo bhi nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mahashar Badayuni



No comments:

Post a Comment