Sunday, March 30, 2008

Husn phir fitnagar hai kya kahiye – Majaz Lucknawi



husn phir fitnagar hai kya kahiye
dil ke janib nazar hai kya kahiye
phir wohi rahaguzar hai kya kahiye
zindagi rahabar hai kya kahiye
husn khud pardadar hai kya kahiye
ye hamari nazar hai kya kahiye
aah to be-asar thi barason se
nagma bhi be-asar hai kya kahiye
husn hai ab na husn ke jalve
ab nazar hi nazar hai kya kahiye
aj bhi hai ‘majaz’ khaknashin
aur nazar arsh par hai kya kahiye




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Majaz Lucknawi



No comments:

Post a Comment