Tuesday, May 15, 2007

Ruthna manana shayari



kuch din to baso meri  aankhon mein
phir khwaab agar ho jao to kya
koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mehkao to kya
ik aaina tha so toot gaya
ab khud se agar sharmao to kya
main tanha tha, main tanha hoon
tum aao to kya, na aao to kya
jab hum hi na mehke phir sahib
tum baad-e-saba kehlao to kya
jab dekhne wala koi nahin
bujh jaao to kya jal jao to kya




Ruthna Mat Kabhi Hame Manana Nahi Aata,
Door Nahi Jana Hame Bhulana Nahi Aata,
Tum Bhool Jao Hame Tumhari Marzi,
Magar Hum Kya Kare Hame Bhulana Nahi Aataâ




Rukne ko humne jab bhi kaha hai,
Hazar bahane ek pal mein ban gaye


abb dekho is mehfil mein sabke samne
Hum ko phirse badnaam kar chal diye


ruthe ko kabhi manaya nahi gaya aapse
aor jagah jagah shikayatein karte gaye


pehle iss payar par guman hone laga tha
aor ajj har baat ki sare-amm charcha kiye



Share with us more Ruthna manana shayari.in comments section below.



No comments:

Post a Comment