Wednesday, March 14, 2007

Aali jee ab aap chalo tum apne bojh uthaye – Jameeluddin Aali



aali jee ab aap chalo tum apne bojh uthaye
sath bhi de to aakhir hamare koi kahan tak jaye


jis suraj ke aas lagi hai shayad wo bhi aaye
tum ye kaho khud tum ne ab tak kitane diye jalaye


apana kam hai sirf mohabbat baqi us ka kam
jab chahe wo ruthe hum se jab chahe man jaye


kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed
hum sab ko samajhane wale kon hamen samajhaye


ek isi ummid pe hain sab dushman dost qabul
kya jane is sada-ravi mein kon kahan mil jaye


duniya wale sab sache par jina hai us ko bhi
ek garib akela papi kis kis se sharmaye


itna bhi majabur na karana varna hum kah denge
o “ali” pe hansane wale tu “ali” ban jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jameeluddin Aali



No comments:

Post a Comment