Saturday, March 31, 2007

rangat teri zulfon ke ghataon ne churai khushbu tere aanchal se hawaon ne udai- Naseem Akhtar



rangat teri zulfon ke ghataon ne churai
khushbu tere aanchal se hawaon ne udai
paimane ka dil toot na jaye to kahun main
hai cheez gazab ke jo nigahon ne pilai
qaidi teri zulfon ka hai aazad jahan se
mujh ko ye rihai to sazaon ne dilai
mana ke baharon ne khilaya hai gulon ko
ulfat ke kali dil mein vafaon ne khilai
tham-tham ke barasana kabhi jham-jham ke barasana
savan ko ada ye mere ashkon ne sikhai
manzil pe pahunch kar ‘nasim’ ehasas hua hai
jis reh se pahuncha ye khataon ne dikhai


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Naseem Akhtar



No comments:

Post a Comment