Sunday, March 18, 2007

Taman umr azabon ka silasila to raha – Jan Nissar Akhtar



Taman umr azabon ka silasila to raha
ye kam nahi hamen jine ka hausla to raha
guzar hi aaye kisi tarah tere divane
qadam qadam pe koi sakht marhala to raha
chalo na ishq hi jeeta na aql har saki
tamam waqt maze ka muqabala to raha
main teri zat mein gum ho saka na tu mujh mein
bahut qarib the hum phir bhi fasala to raha
ye aur baat ki har ched laubali thi
teri nazar ka dilon se muamala to raha
bahut hasin sahi wazae-ehatiyat teri
meri havas ko tere pyar se gila to raha


Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Jan Nissar Akhtar



No comments:

Post a Comment