Saturday, March 31, 2007

Gamon ne gher liya hai mujhe to kya gham hai



gamon ne gher liya hai mujhe to kya gham hai
main muskura ke jiyunga teri khushi ke liye
kabhi kabhi tu mujhe yaad kar to leti hai
sukun itna sa kafi hai zindagi ke liye
ye waqt jis ne palat kar kabhi nahi dekha
ye waqt ab bhi muradon ke phal lata hai
wo mod jis ne hamen ajanabi bana dala
us ek mod pe dil ab bhi gungunata hai
fizayen rukati hain rahon par jin se hum guzri
ghatayen aj bhi jhuk kar salam karati hain
har ek shab ye suna hai falak se kuch pariyan
wafa ka chand hamare hi naam karati hain
ye mat kaho ki muhabbat se kuch nahi paya
ye mere geet mere zakhm-e-dil ke rulai
jinhen tarasati rahi anjuman ke rangini
mujh mili hai muqaddar se aisi tanhai


Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Sardar Anjum



No comments:

Post a Comment