Friday, March 30, 2007

Jo Zakhm Tu Nay Diye



Jo Zakhm Tu Nay Diye Thay Woh Bhertay Jatay Hain
Charhay Hoay Thay Jo Dariya Utartay Jatay Hain


Yeh Ahel-e-Shahr-e-Wafa Hain Ajab Bahar Parust
Sarooo Kay Phool Faseelo’n Pay Dhertay Jatay Hain


Nahi Hai Aur Tu Kuch Bhi Hamaray Hatoo’n Main
Siva Ye Arz-e-Tamman Na So Kertay Jata Hain

Ajeeb Loog Hain , Yeh Ahel-e-Intezaar Kay Jo
Khud Apni Aag Main Jul Kar Sa’nwertay Jatay Hain


Najanay Kaun Si Basti Kay Hain Yeh Bashindey!
Nazar Uthatey Nahi Aur Guzertay Jatay Hain


Yeh Aaj Shaher Pay Utri Hay Kis Bala Ki Raat
Charaagh Apni Lawoo’n Say Mukertay Jatay Hain


Darakht Shaam Ko Lagtay Hain Shaher Say Amjad
Kay Shaakh Shaakh Parinday Utartay Jatay Hain



No comments:

Post a Comment