Thursday, March 29, 2007

Khayal kijiye kya kam aj main ne kiya – Insha



Khayal kijiye kya kam aj main ne kiya
jab unne di mujhe gali salam main ne kiya
kaha ye sabr ne dil se ke lo khudahafiz
ke haq-e-bandagi apna tamam main ne kiya
jhidak ke kahane lage lab chale bahut ab tum
kabhi jo bhool ke unase kalam main ne kiya
havas ye reh gai sahib ne par kabhi na kaha
ke aj se tujhe “insha” gulam main ne kiya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Insha



No comments:

Post a Comment