Friday, February 9, 2007

Gam-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche



gam-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche
mujhe khauf hai ye tohamat mere naam tak na pahunche
main nazar se pee raha tha to ye dil ne bad-dua di
tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche
nai subah par nazar hai magar aah ye bhi dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kaheen sham tak na pahunche
wo nava-e-muzamahil kya na ho jis mein dil ki dhadakan
wo sada-e-ahale-dil kya jo avam tak na pahunche
unhen apne dil ki khabaren mere dil se mil rahi hain
main jo unase ruth jaun to payam tak na pahunche
ye ada-e-beniazi tujhe bevafa mubarak
magar aisi berukhi kya ki salam tak na pahunche
jo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga di
uthe har nigah lekin koi bam tak na pahunche
wohi ik khamosh nagma hai “shakeel” jan-e-hasti
jo zuban tak na aaye jo qalam tak na pahunche


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Shakeel Badayuni



No comments:

Post a Comment